zara si baat se manzar badal bhi sakta tha jo hadisa hua basti mein tal bhi sakta tha hawaen us ke mere darmiyan rahti thin qarib hote hue dasht jal bhi sakta tha gila na kar meri raftar ka ye bojh bhi dekh main sab ke sath hun aage nikal bhi sakta tha chalin wo aandhiyan rishta zamin se tut gaya ghana darakht abhi phul phal bhi sakta tha bas ek pal ne mujhe qaid kar liya 'anjum' main jab giraft se us ki nikal bhi sakta tha