hilti hai zulf jumbish-e-gardan ke sath sath nagin bhi hai lagi hui rahzan ke sath sath kis ki kuduraton se ye mitti kharab hai kis ka ghubar hai tere daman ke sath sath uttha tha munh chhupae hue main hi subh ko jata tha main hi raat ko dushman ke sath sath kuche mein us sanam ke khudai ka lutf hai nahaq phira main shaikh o barhaman ke sath sath dil ki tapish ne khak udai ye baad-e-marg lasha phira kiya mera madfan ke sath sath allah apne rashk ka darja bhi ab nahin kis kis jagah gaya but-e-pur-fan ke sath sath jhonka qafas mein aaya jo baad-e-bahaar ka pahlu se dil nikal chala san-san ke sath sath ashkon ke sath sath to maujen ghamon ki hain aankhon ke shoale hain mere shewan ke sath sath jis rah se guzarte hain wo, mujh se saikdon ho lete hain junun-zada ban ban ke sath sath zanjir mere panw ke pichhe padi hai yun phirta hai rishta jis tarah sozan ke sath sath kab tak kisi ko kholen kisi ko karen wo band phirti hai yan nigah to rauzan ke sath sath yun sath ruh ke hai tan-e-zar ab 'nizam' phirta hai jaise saya mera tan ke sath sath