hina ye kahti hai lo be-zaban pa ke mujhe

hina ye kahti hai lo be-zaban pa ke mujhe
jab aae aap gae choriyan laga ke mujhe

na dekhte the kabhi jo nazar utha ke mujhe
wo dekhte hain dam-e-hashr muskura ke mujhe

hina ye kahti hai un se suna suna ke mujhe
nahin shahidon mein milna lahu laga ke mujhe

nigah se badh ke hain gustakh dast-e-shauq mere
na kosiyega zara hath utha utha ke mujhe

mera raqib mujhi sa rakha diya mujh ko
nikali chhed ki shakl aaina dikha ke mujhe

duhaiyan hain shab-e-wasl apni shokhi se
ki lute lete hain joban hasin pa ke mujhe

zara se dard ne dhai hain aafaten kya kya
patak diya hai zamin par utha utha ke mujhe

kaha jo un se charagh-e-lahad jalate jao
hawa se tez gae wo hawa bata ke mujhe

kanar-e-ghair mein raaten tadap tadap ke katin
rahe na chain se wo qabr mein sula ke mujhe

saba na dagh laga tu ye apne daman ko
kahegi sham-e-lahad kya mila bujha ke mujhe

main apne khun ka beda uthaun khud kyunkar
wo pan dete hain shokhi se muskura ke mujhe

urus-e-gor ke pahlu mein chain paunga
wahi sulaegi aaghosh mein daba ke mujhe

kaha tha kis ne ki lakhon ke dil karo pamal
jo kah rahe ho ki lale pade hina ke mujhe

nikal dunga shab-e-wasl bal nazakat ke
dara liya hai bahut tewriyan chadha ke mujhe

mana liya tere ruthe hue ko zalim ne
hansa diya tere nawak ne gudguda ke mujhe

ye hath bandh ke kahta hai dil ke zakhm ka chor
huzur yaad hain sab hathkande hina ke mujhe

wo aa ke sharm se kahte hain meri turbat par
na dekhe sabza-e-khwabida sar utha ke mujhe

ye kya mazaq farishton ko aaj sujha hai
hujum-e-hashr mein le aae hain bula ke mujhe

mite huon ke mitane ko ye bhi aandhi hain
rahenge naqsh-e-qadam khak mein mila ke mujhe

kahunga hashr ke chhote se din mein kya kya baat
bahut hi hausle hain arz-e-muddaa ke mujhe

qayamat aur qayamat mein aai qahr hua
buton ne chhed diya samne khuda ke mujhe

ada-shanason ko marte bhi ban nahin padti
payam aate hain kab se meri qaza ke mujhe

satane walo qayamat bhi aai jati hai
jafa ke lutf tumhin aaenge wafa ke mujhe

tamam umr ke shikwe mitae jate hain
wo dekhte hain dam-e-naza muskura ke mujhe

kahan wo nur ki surat wo nur ki aawaz
'riyaz' kaun sunae ghazal ye ga ke mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close