le ke ham-rah chhalakte hue paimane ko aan pahunchi hai ye saat bhi guzar jaane ko han ise rah-guzar-e-khanda-e-gul kahte hain han yahi rah nikal jati hai virane ko faeda bhi koi jal jal ke mare jaane se kaun is shama se raushan kare parwane ko sang uthana to badi baat hai ab shahr ke log aankh utha kar bhi nahin dekhte diwane ko kal bhi dekha tha unhen aaj bhi darshan honge hasb-e-mamul wo niklenge hawa khane ko