hum ek taraf hain to duniya tamam aur kahin

hum ek taraf hain to duniya tamam aur kahin
yahan nahin to milega maqam aur kahin

dayar-e-ghair bhi tha aur musafiri bhi thi
sahar kahin pe guzari to sham aur kahin

mere dariche ka manzar hai kuchh adhura sa
damak raha hai wo mah-e-tamam aur kahin

tumhaare ishq ki jaulan mein aisa jakda hai
ki bhag sakta nahin ye ghulam aur kahin

yahan to sari nashiston pe ghair baithe hain
kiya hi hoga mera intizam aur kahin

ise nasib ka likkha samajh ke man liya
maqam aur jagah tha qiyam aur kahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close