hiras hai ye azal ka ki zindagi kya hai khuda nahin hai to logo umid bhi kya hai kisi ka ras koi parwaz-e-rang ki manzil azar-e-lala-e-sahra ki tazgi kya hai jo hai wo kuchh bhi nahin jo nahin wo sab kuchh hai mere khuda ye tamanna ki sahiri kya hai tamam husn-e-jahan na-tamam hai ki nahin ye apsara ka tasawwur ye jal-pari kya hai sab apni samt ishaara karen agar puchho ki haq kidhar hai zamane mein rasti kya hai dilon ne umr bhar aawaz di hai sinon se kisi ne jhuton bhi puchha nahin kabhi kya hai ye gher gher ke kyun haal-e-dil sunate ho yahan kisi ko kisi ki miyan padi kya hai batao kaun se danish-kade mein padhne jaen kahan nisab mein ye hai ki aadmi kya hai kabhi kabhi ki tursh-rui-e-jamal ki aan ye angbin mein bhi thodi si chashni kya hai diya to khud meri ham-khwab ne bujhaya tha to phir ye sej pe taron ki chhanw si kya hai tere uchatte ishaare pe war dun jaanan hazar zindagiyan ek zindagi kya hai