in dinon tez bahut tez hai dhaara mera donon jaanib se hi katta hai kinara mera sard ho jati hai har aag bil-akhir ek din dekhiye zinda hai kab tak ye sharara mera nafa-dar-nafa se bhi kya kabhi zail hoga ruh par bojh bana hai jo khasara mera hai ye aalam ki nahin khud ko mayassar main bhi kaise ab hota hai mat puchh guzara mera yahi chakkar mujhe markaz se alag rakhta hai khush-nasibi hai ki gardish mein hai tara mera meri majburi hai lafzon mein nahin kah sakta aur samajhta hi nahin koi ishaara mera khas number kai baqi hain murattab karne hai jahan tera bas ek aam ishaara mera log hairat hai samajhte hain mujhe ghairat-mand baat-be-baat jo chadh jata hai para mera wo nazar ho jo mujhe chaak hi kar dale 'suhail' warna khulne ka nahin ramz-e-nazara mera