mera soz bhi tarannum meri aah bhi tarana meri zindagi se sikhe koi gham mein muskurana ye sitam-taraaz duniya hai usi ki thokaron mein gham-e-zindagi ko jis ne gham-e-zindagi na jaana na qafas hi mo'atabar hai na chaman se mutmain dil wahin bijliyan bhi hongi jahan hoga aashiyana ise jo banae insan ise jo samajh le duniya yahi zindagi haqiqat yahi zindagi fasana kabhi chashm-e-baghban mein kabhi barq ki nazar mein kahin main khatak raha hun kahin mera aashiyana