hisar-e-zat mein sara jahan hona tha qarib aise tujhe meri jaan hona tha teri jabin pe shikan kyun visal-lamhe mein mohabbaton ka yahan to nishan hona tha tumhaare chhune se kuchh raushni badan ko mili wagarna us ko faqat rakh-dan hona tha tumhaari nafraton ne mitti mein mila dala jo khwab tara sa palkon ki shan hona tha bahut hi thodi thi dil mein tumhaare umr meri thi khwab-zad mujhe dastan hona tha bichhad gaya to 'shabana' malal kya karna use bichhadna tha wahm o guman hona tha