yaad ke be-rang zakhmon ko lahu mil jaega dard ka mausam to aane do chaman khil jaega aarzuon ke safar ki intiha hoti nahin har nai manzil pe ek rasta naya mil jaega rahguzar-e-shauq mein dil ke taqaze kuchh bhi hon karwan-e-zindagi manzil-ba-manzil jaega dil sulagta hai to daman tak pahunch jati hai aanch jab kabhi tufan uthega su-e-sahil jaega jis dayar-e-shauq ka tha aasra wo mit gaya ab kahan le kar mujhe ai jazba-e-dil jaega tera kucha ho ki maqtal hum ko is ki fikr kya hum usi jaanib chalenge jis taraf dil jaega ehtimam-e-raqs-e-diwana to hai par sochiye khwab-gah-e-naz tak shor-e-salasil jaega ho rahi hai bazm mein 'shaariq' masihai ki baat zakhm bhi bhar jaenge aur chaak bhi sil jaega