ho dair ya haram jo uthaun nazar ko main dekhun ba-qadr-e-zarf tere sang-e-dar ko main kyon haal-e-dil sunaun kisi chaaragar ko main apna bana chuka hun gham-e-mo'tabar ko main zauq-e-nigah azm-e-tajassus ki dad de tarikiyon mein dhund raha hun sahar ko main nazzargi-e-shauq ka eajaz al-aman pata hun aaj dil ke muqabil nazar ko main naqsh-o-nigar-e-zist ke aasar hain ayan kaise chhupaun parda-e-shab mein sahar ko main raat intizar-e-dost qayamat se kam na tha hasrat se dekhta raha diwar-o-dar ko main roz-e-azal ki azmaten le kar khayal mein tai kar raha hun zist ki har rahguzar ko main ai 'dard' puchhiye na meri wusat-e-nigah apni nazar mein rakhta hun shams-o-qamar ko main