hum ne shab-e-firaq jo aansu bahae hain wo aasman pe kahkashan ban ke chhae hain madhosh hum hue to wo tashrif lae hain aise bhi zindagi mein kai waqt aae hain badla hai jab mizaj nasim-e-bahaar ka hum ne qadam qadam pe bagule uthae hain kya aap jalwa-rez hain meri nigah mein ya phir meri nigah ne parde uthae hain mahrum rakh na apni tajalli se ai khuda musa ki tarah dida-o-dil hum bhi lae hain aah-e-firaq dagh-e-tamanna junun-e-shauq jitne charagh hain teri mahfil se aae hain taswir-e-'dard' khud hain magar is ka kya ilaj sare jahan ke gham ko gham-e-dil banae hain