jab aae chand harf-e-shikayat zaban par nalon ka shor jaane laga aasman par aaya mizaj-e-yar agar imtihan par hum kushtagan-e-zauq hain khelenge jaan par ek gard-baad-e-khak ka naqsha hai zindagi goya ki hain zamin pe na hum aasman par haalanki be-zaban hain naqsh-e-qadam ki tarh lekin mite hue hain tumhaare bayan par muddat hui ki hum su-e-sahra nahin gae viran ab hamari jagah hai makan par josh-e-sharab-e-ishq hai aur shauq-e-jaan hai hum be-khudi mein khel hi jaenge jaan par hum jaante hain wada-e-mauhum ko magar qurban kar rahe hain yaqin ko guman par kya is jahan se hai ziyaada wahan ka lutf marte hain log saikdon kyon us jahan par dushman hai barq-o-baad to dushman hai baghban kya kya sitam hain chand asiron ki jaan par phaila hua hai qissa-e-mansur har taraf zinhaar raaz-e-dost na aae zaban par ai khak-e-gor itne na de ranj be-shumar karta nahin hai koi jafa mehman par 'masud' rast-baz wo samjhenge kis tarah jab hai yaqin darogh ka tere bayan par