ho gai apnon ki zahir dushmani achchha hua chhod di hum ne bhi un ki dosti achchha hua bach gae apnon ke har mashq-e-sitam se shukr hai doston ne hum ko samjha ajnabi achchha hua jis ko jine ka zara sa bhi nahin tha hausla dar ke gham se mar gaya wo aadmi achchha hua jaane main aur tu ke jhagde kaise suljhate bhi hum aa gai thi kaam apni be-khudi achchha hua sham ke sae se bhi darti rahi jo raushni kha gai us raushni ko tirgi achchha hua gham hi apna yar hai dil se juda hota nahin chand lamhon ki khushi ab ja chuki achchha hua kaun deta mujh ko un ki bewafai ka subut aap ne kar di kahi ko an-kahi achchha hua mujh ko diwana samajh kar log mujh se dur hain muft mein jo mujh pe ye tohmat lagi achchha hua is tarah se laj rakh li hum ne 'asghar' pyar ki rote rote aa gai lab par hansi achchha hua