ho gai barham nigah-e-shauq shayad yar ki ujdi ujdi si hai surat nargis-e-bimar ki jam par jam aaj saqi ne nigahon se diye phir bhi bharti hi nahin niyyat kisi mai-khwar ki phir nigahon mein koi surat kabhi utri nahin dekh li thi ek jhalak main ne jamal-e-yar ki phunk dega teri binai jamal-e-ru-e-yar tab phir laega kaise husn ke didar ki aaine 'zishan' bikhre hain zamin par tut kar sah na pae ye bhi shiddat garmi-e-rukhsar ki