inayat aap ki kuchh kam nahin hai asir-e-gham hun lekin gham nahin hai main bhulun bhi tujhe to kaise bhulun tasawwur bhi tera mubham nahin hai bapa hai shor-e-matam mere dil mein ba-zahir aankh meri nam nahin hai khirad ki wusaten hain la-makan tak junun ki saltanat bhi kam nahin hai chhalak bhi sakta hai hathon mein aa kar ye jam-e-mai hai jam-e-jam nahin hai