pahle khuddari dikha kar phans gae phir wafa-dari nibha kar phans gae tum ko to malum tha ulfat ka sach tum bhala kyun dil laga kar phans gae jo ziyaada qurbaton se the dukhi wo sabhi se dur ja kar phans gae jhut bola khub bola aur phir khud se hi nazren mila kar phans gae hum andhera kar ke hi raushan hue aur hamin mashal jala kar phans gae koi mai-khana nahin is shahr mein hum yahan par ghar bana kar phans gae