ye kaisa hu ka aalam hai sunai kuchh nahin deta

ye kaisa hu ka aalam hai sunai kuchh nahin deta
jahan main hun wahan se kyon dikhai kuchh nahin deta

teri parchhain ka partaw meri aankhon mein rahne de
ziyaada raushni mein bhi sujhai kuchh nahin deta

wo jab tak dur tha qadmon ki aahat sun raha tha main
qarib aate hi jaane kyon sunai kuchh nahin deta

parindon ko tulu-e-subh se nisbat to hai lekin
faza kohre mein dubi hai dikhai kuchh nahin deta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close