mere jaise is basti mein aur bhi pagal rahte hain sab ne aankhen girwi rakh kar aadhe khwab kharide hain koyal kawwa chil kabutar tota maina chidiya mor sham dhale sab chup chup baithe ek duje ko takte hain dariya sagar ambar baadal barish aandhi dhup hawa sab tera bahrup hai sain tera nam hi japte hain khali kursi do cup chae sabza khushbu bunda-bandi subh-sawere mujh se mil kar teri baaten karte hain hijr udasi wahshat aansu aawara-pan be-zari shorida dil chaak gareban sab ulfat ke jhagde hain 'saghar' 'mir' 'faraaz' aur 'ghaalib' 'momin' 'dagh' 'qatil' aur 'faiz' odh ke misre nazmen ghazlen chain sukun se sote hain baaten yaaden raaten aankhen banhen aahen fariyaaden sune ghar ke ek kone mein aksar mil kar rote hain chand sitare jugnu suraj pariyan jin udte panchhi sab dharti par aakar 'danish' us ke panw ko chhute hain