paik-e-khayal bhi hai ajab kya jahan-numa aaya nazar wo pas jo apne se dur tha us mah-ru pe aankh kisi ki na pad saki jalwa tha tur ka ki sarasar wo nur tha dete na dil jo tum ko to kyun banti jaan par kuchh aap ki khata na thi apna qusur tha zarre ki tarah khak mein pamal ho gae wo jin ka aasman pe sar-e-pur-ghurur tha