wo bar-e-farz-e-takalluf mujhi ko dhona pada use rulane ki khatir mujhe bhi rona pada wo ek husn tha jis ki thi sirf khwab mein bud use jagane ki chahat mein mujh ko sona pada main dekhta hun ye chhinte lagen ge kis ke hath mujhe jo aaj udasi se hath dhona pada ye kya hua ki teri dhun mein jin se bichhde the unhin ke samne tujh se bichhad ke rona pada main apni marzi se is duniya mein hua kab tha maani ye hain ki mujh ko jahan mein hona pada