jab kisi ne haal puchha ro diya chashm-e-tar tu ne to mujh ko kho diya dagh ho ya soz ho ya dard-o-gham le liya khush ho ke jis ne jo diya ashk-rezi ke dhadalle ne ghubar jab zara bhi dil pe dekha dho diya dil ki parwa tak nahin ai be-khudi kya kiya phenka kahan kis ko diya kuchh na kuchh is anjuman mein hasb-e-haal tu ne qassam-e-azal sab ko diya kisht-e-duniya kya khabar kya phal mile tukhm-e-gham hum ne to aa kar bo diya ye bhi nasha mai-kasho kuchh kam nahin de na de saqi pa tum samjho diya 'shad' ke aage bhala kya zikr-e-yar nam idhar aaya ki us ne ro diya zumra-e-ahl-e-qalam mein likh ke nam khud ko nahaq 'shad' tu ne kho diya