sach hai ki wo bura tha har ek se laDa kiya

sach hai ki wo bura tha har ek se lada kiya
lekin use zalil kiya ye bura kiya

gul-dan mein gulab ki kaliyan mahak uthin
kursi ne us ko dekh ke aaghosh wa kiya

ghar se chala to chand mere sath ho liya
phir subh tak wo mere barabar chala kiya

kothon pe munh-andhere sitare utar pade
ban ke patang main bhi hawa mein uda kiya

us se bichhadte waqt main roya tha khub-sa
ye baat yaad aai to pahron hansa kiya

chhodo purane qisson mein kuchh bhi dhara nahin
aao tumhein bataen ki 'alwi' ne kya kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close