shukr-e-karam bhi shikwa-e-gham bhi sare unwan aap hue mujh pe tawajjoh aap ne ki thi mujh se gurezan aap hue dast-e-talab kab main ne badhaya kuchh na mila to shikwa kya kyun mere daman-e-tahi par itne pasheman aap hue khak-e-dasht-e-wafa thi rukh par warna koi baat na thi aaina apna dhundla pa kar kitne hairan aap hue uf ye tawazoa hae ye khatir koi bhala kis dil se kare umr tamam jahan rahna tha is ghar mehman aap hue aap ke dam se 'shaz' ka fan hai husn-e-bayan hai rang-e-sukhan hai nam hamara chal nikla hai sahab-e-diwan aap hue