ho pyas salamat mai-e-gulfam bahut hai mai-khana bahut saqi bahut jam bahut hai in tafta zulfon ko pareshan na karo tum ai jaan-e-sitam gardish-e-ayyam bahut hai kyon tur pe mauquf ho baran-e-tajalli is jalwa-e-taban ke liye baam bahut hai ek wo hain ki har zulm rawa un ke liye hai ek aah bhari main ne to kohram bahut hai aazadi-e-parwaz pe itra nahin bulbul gulshan ki fazaon mein abhi dam bahut hai kuchh soch ke amwaj-e-talatum mein pada hun ye sach hai ki sahil pe to aaram bahut hai aasan nahin jada-e-irfan-e-mohabbat har gam rah-e-shauq mein ibham bahut hai kyon mujh ko sada deta hai aflak se hatif is anjuman-e-gul mein abhi kaam bahut hai mat bech ise misr ka bazar saja kar is yusuf-e-hasti ka 'sahar' dam bahut hai