khole hue gesu ho pareshan lago ho is dil ki tarah tum bhi meri jaan lago ho dilbar ho dil-ara ho dil-aram ho phir bhi tum aafat-e-jaan maut ka saman lago ho masjud-e-tamanna ho ki mabud-e-mohabbat but-khana-e-dil ka mere arman lago ho sajdon sa tadap jao ho peshani-e-dil mein kafir jo bana de hai wo iman lago ho taswir-e-taghazzul bhi ho chehra bhi kitabi aao na padhen tum mera diwan lago ho phir shahr-e-tamanna mein koi khun hua hai ye baat nai hai jo pasheman lago ho is zehn se guzre ho 'sahar' yun to hamesha tum kaun ho bhuli hui pahchan lago ho