us ko rukhsat kar diya ek dushman-e-jaani ke sath un ko jate dekhta hun kitni hairani ke sath ho nahin sakta kisi surat tera mera nibah rah bhi sakti hai bhala aatish kahin pani ke sath jaan ki bazi laga kar main ne paya tha use us ko kho sakta hun kya main itni aasani ke sath chand banson ke sahaare rok rakkha tha jise wo shajar bhi dheh gaya kal raat tughyani ke sath jab main pahle aaya tha is ghar ke aangan mein 'salim' ek pauda aur bhi tha raat ki rani ke sath