wafa ka banda hun ulfat ka pasdar hun main harif-e-qamri-o-parwana-e-hazar hun main juda juda nazar aati hai jalwa-e-tasir qarar ho gaya musa ko be-qarar hun main khumar jis se na waqif ho wo surur hain aap surur jis se na aagah ho wo khumar hun main sama gaya hai ye sauda ajib sar mein mere karam ka ahl-e-sitam se ummid-war hun main ewaz dawa ke dua de gaya tabib mujhe kaha jo main ne gham-e-hijr se do-chaar hun main shabab kar diya mera tabah ulfat ne khizan ke hath ki boi hui bahaar hun main qarar-dad-e-gareban hui ye daman se ki purze purze agar ho to tar tar hun main mere mazar ko samjha na jae ek mazar hazar hasrat-o-arman ka khud mazar hun main 'zahir' o 'arshad' o 'ghaalib' ka hun jigar-gosha janab-e-'dagh' ka tilmiz o yaadgar hun main amir karte hain izzat meri hun wo 'sail' gulon ke pahlu mein rahta hun aisa khar hun main