hon lakh zulm magar bad-dua nahin denge zamin man hai zamin ko dagha nahin denge hamein to sirf jagana hai sone walon ko jo dar khula hai wahan hum sada nahin denge riwayaton ki safen tod kar badho warna jo tum se aage hain wo rasta nahin denge yahan kahan tera sajjada aa ke khak pe baith ki hum faqir tujhe boriya nahin denge sharab pi ke bade tajarbe hue hain hamein sharif logon ko hum mashwara nahin denge