hone ko ab kya dekhiye kya kuchh hai aur kya kuchh nahin manzar abhi hai samne wo bhi ki jab tha kuchh nahin us ki hina par war de fil-faur dil ki saltanat pyare kisi ke hath mein ta-der rahta kuchh nahin mat jaan dil ke samne kafi hai ek chehra tera aise andhere ke liye itna ujala kuchh nahin kitne gharaunde ret ke maujen baha kar le gain har bar ek dil ke siwa aise mein tuta kuchh nahin surat ko mani ke tain darkar hai kuchh fasla jab tak tha aage aankh ke main ne to dekha kuchh nahin