ye kis liye hai tu itna udas darwaze pahan liya hai jo kala libas darwaze tu sham-rang hua ja raha hai subh se kyun jhalakti hai teri surat se yas darwaze nihaarte ho ye kis kis ko nim-wa ho kar parae des mein kaisi ye aas darwaze hinai hath ke wo lams chhin gae jin se bane hue hain sarapa sipas darwaze makin makan mein na hoga to phir kahan hoga yahin kahin hai tere aas-pas darwaze libas aur hai lekin main koi aur nahin mujhe tu bhul gaya ru-shanas darwaze mujhe bhi hairat-o-'hasrat' ne but bana dala tujhe bhi zindagi aai na ras darwaze