hone se mere farq hi padta tha bhala kya main aaj na jaga to sawera na hua kya sab bhigi ruten nind ke us par hain shayad lagti hai zara aankh to aati hai hawa kya hum khoj mein jis ki hain pareshan azal se bimar ki aankhon ne wo dar dhund liya kya maqtul ko banhon mein liye baitha rahun kyun is jurm se lena hai use aur maza kiya diwar qafas ki ho ki ghar ki mujhe kya farq tafrih ke saman hon mayassar to saza kya aisa to kabhi raqs mein be-khud na hawa main mai-khane ke mahaul mein hota hai nasha kya ye dhup ki tezi ye sarabon ki sajawat sahra ne junun ko mere pahchan liya kya