shahr ka shahr hai be-zar kahan jaun main aur tanhai hai dushwar kahan jaun main log marte hain sisakte hain maze lete hain dekh kar surkhi-e-akhbar kahan jaun main tu jo kahta hai ki ye khak-e-watan teri hai main kahan par hun mere yar kahan jaun main ek inkar pe mauquf hain sare qisse main kahan sahab-e-kirdar kahan jaun main mujh ko rishton ki tijarat kabhi manzur na thi sochta hun sar-e-bazar kahan jaun main parsa khwab sabhi us ke tasarruf mein rahe raat bhi ho gai badkar kahan jaun main koi manzil teri niyyat se kabhi raushan ho ai mere qafila-salar kahan jaun main ek jhande hain sabhi rang juda hain un ke kaun hai kis ka alam-dar kahan jaun main jitne munkir the tere sare farishte nikle ek main tera gunahgar kahan jaun main main kinare pe khada soch raha hun 'khurshid' naw ke sath hai manjdhaar kahan jaun main