honT ruKHsar aur jabin KHamosh

hont rukhsar aur jabin khamosh
koi hota hai yun kahin khamosh

bad-gumani ne bad-tamizi ki
ek matanat se tha yaqin khamosh

bolne lag gae dar-o-diwar
jab musalsal raha makin khamosh

ek baadal macha raha tha shor
us ko sun kar rahi zamin khamosh

warna main bolne hi wala tha
khamushi ne kaha nahin khamosh

us ke aane ki der thi sahib
sab ke sab ho gae hasin khamosh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close