jise tu khamushi samjha hai iztirab samajh main kar raha hun ye tujh se jo ijtinab samajh hamara hona na hona agar barabar hai kisi ko aaega kaise tera hisab samajh main achchha banta hua dekh nisf rah gaya hun main ab bhi achchha nahin hun to le kharab samajh khirad ki man ke samjha tha kuchh haqiqat ko junun ba-zid hai haqiqat ko bhi sarab samajh jo teri baat pe kuchh bhi nahin kaha main ne isi ko kafi samajh le yahi jawab samajh koi to khwab mein aa kar kahe ki mere ho koi to khwab sunae kahe ki khwab samajh ye khush-nasibi har ek ko kahan mayassar hai 'saghir' sath hai tere to ye sawab samajh