soz-e-dil sham-e-tapan ho jaise aag chulhe mein nihan ho jaise kaisi afsurda bahaar aai hai ab bhi gulshan mein khizan ho jaise mujh pe mahfil mein tabassum ki nazar ba-tufail-e-digran ho jaise aap ki chashm-e-inayat ka yaqin dil-fareb ek guman ho jaise yun wo sunte hain kahani meri ek hadis-e-digran ho jaise chaunk uthe hum to qayamat hogi zindagi khwab-e-giran ho jaise dil se ek aah to nikli thi magar sham-e-kushta ka dhuan ho jaise samne un ke ye aalam hai 'raza' ek aalam nigaran ho jaise