subh ko hashr bhi hai kat gai gar aaj ki raat de raha hai mera dil kal ki khabar aaj ki raat mere nalon mein ghazab ka hai asar aaj ki raat log thame hue baithe hain jigar aaj ki raat zabt mane hai ki wo shokh shikayat na kare be-sada aah bhi hai misl-e-asar aaj ki raat tute padte hain falak se bhi sitare paiham chunne baitha hai jo afshan wo qamar aaj ki raat zabt-e-nala ne ye andher kiya sine mein ban gaya ghut ke dhuan soz-e-jigar aaj ki raat