apni dhun mein rahta hun main bhi tere jaisa hun o pichhli rut ke sathi ab ke baras main tanha hun teri gali mein sara din dukh ke kankar chunta hun mujh se aankh milae kaun main tera aaina hun mera diya jalae kaun main tera khali kamra hun tere siwa mujhe pahne kaun main tere tan ka kapda hun tu jiwan ki bhari gali main jangal ka rasta hun aati rut mujhe roegi jati rut ka jhonka hun apni lahr hai apna rog dariya hun aur pyasa hun