wo yun budhe se bachcha ho gaya hai ki jaise ped paudha ho gaya hai taraf-dari bahut karta hai teri qalam tera diwana ho gaya hai nazar-andaz aise kar gaya wo ki shisha jaise andha ho gaya hai chalo baba koi poshak le lo liye kapde zamana ho gaya hai nahin hain pyas ke mani koi ab nadi ka pani maila ho gaya hai