hosh-o-khirad ke gham se begana ho gaya hun main teri aarzu mein diwana ho gaya hun ifsha hua hai jab se ulfat ka raaz mera har shakhs ki zaban par afsana ho gaya hun ji bhar ke mere dil par jaur-o-sitam karo tum main lazzat-e-jafa se an-jaana ho gaya hun ye bebasi hai meri ya be-hisi hai meri duniya ki har khushi se begana ho gaya hun raushan hai dil ki duniya jis ke jamal-e-rukh se us shama-e-arzu ka parwana ho gaya hun puchho na mujh se logo rudad-e-zindagani gulshan tha pyar ka ab virana ho gaya hun tum 'ashna' ho mujh se tum bhi to kuchh batao har shakhs kah raha hai diwana ho gaya hun