rukh-e-raushan ko be-naqab na kar dil ki duniya mein inqalab na kar aaina rakh na samne us ke husn khud-bin ko la-jawab na kar chaar-su jalwa-gar tu hi tu hai aaina-khana mein hijab na kar mere naghmon mein kaif-e-gham bhar de mujh ko minnat-kash-e-rabab na kar meri akhtar-shumariyan mat puchh apne wadon ka kuchh hisab na kar bakht-dazon ko ro raha hun main gham-zada par falak azab na kar rah-e-pur-khar hai abhi dar-pesh aablon ka abhi hisab na kar 'shauq' hai tera muntazir kab se ab to surat dikha hijab na kar