jo hum kahen wahi tarz-e-bayan rakhta hai

jo hum kahen wahi tarz-e-bayan rakhta hai
wo apne munh mein hamari zaban rakhta hai

rasai ta-ba-sar-e-la-makan rakhta hai
parind-e-fikr ghazab ki udan rakhta hai

suna hai panw tale aasman rakhta hai
faqir-e-shahr badi aan-ban rakhta hai

wo jis ko saya-e-diwar tak nasib nahin
na jaane zehn mein kitne makan rakhta hai

bahut baligh hai andaz-e-guftugu us ka
har ek lafz mein ek dastan rakhta hai

koi na dekh sake us ke ghar ki haalat-e-zar
wo shayad is liye uncha makan rakhta hai

wo sab se milta hai hans kar bade khulus ke sath
ana ki tegh magar darmiyan rakhta hai

hamare shahr ki aaghosh wa hai sab ke liye
badi kushada-dili mezban rakhta hai

hamein to ganw ki aasudgi ne lut liya
jahan faqir bhi apna makan rakhta hai

usi ke sar pe koi saeban nahin 'tahir'
jo khud ko sab ke liye saeban rakhta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close