lakhon hasin mile hain tarahdar ki tarah lekin mila na koi mere yar ki tarah qatil hai kaun abru-e-khamdar ki tarah chubhne mein tir kat mein talwar ki tarah hai daera hayat ka zanjir ki misal gardish mein log rahte hain parkar ki tarah manzil ki samt kyon na uthe shauq ka qadam hamrah dil hai qafila-salar ki tarah majmua-e-tazad hui un ki guftugu iqrar bhi wo karte hain inkar ki tarah hum wahshiyon ka haal jo wo dekhne chale sahra bhi ho gaya hai chaman-zar ki tarah dasht-e-junun mein aabla-pa ko sukun kahan farsh-e-zamin hai bistar-e-sufar ki tarah wada jo kar rahe hain to pura bhi kijiye dhoka na dijiye mujhe har bar ki tarah wo paikar-e-jamal sarapa nazara tha apni khudi hijab thi diwar ki tarah