hua ashk-e-gulgun bahaar-e-gareban ba-rangrag-e-gul hai tar-e-gareban rahe hai sada chaak matam-kada mein tahayyur nahin ikhtiyar-e-gareban kabhu hath daman tak us ke na pahuncha che-jae ki qurb-o-jawar-e-gareban teri dekh aankhen khajil hogi nargis jhuka chashm ko hai do-chaar-e-gareban bane mauj ro aastin gar nichodun ho girdab har ja fishaar-e-gareban saba kab uthate hain jun nikhat-e-gul subuk-ruh gardan pe bar-e-gareban supurd hum ne ab naseha kar diya hai ba-dast-e-junun karobar-e-gareban jahan mein hai khurshid se subh raushan ki aata hai tikma ba-kar-e-gareban gale mein hai champa kali ya kisu ke hain lakht-e-jigar ham-kanar-e-gareban lagai nahin us ne gote ki magzi hui barq aa kar nisar-e-gareban nahin tauq pahne hai qumri ki hai ab ye zeb-e-gulu-band o haar-e-gareban gulistan mein ye moatakif hai jo ab hai sar-e-ghuncha sohbat barar-e-gareban 'nasir' ab yahan chashm-e-sozan hai mahram z-sar-rishta-hae waqar-e-gareban