mujhe ye justuju kyun ho ki kya hun aur kiya tha main koi apne siwa hun main koi apne siwa tha main na jaane kaun sa aatish-fishan tha mere sine mein ki khali tha bahut phir bhi dhamak kar phat pada tha main to kya main ne nashe mein waqai ye guftugu ki thi mujhe khud bhi nahin malum tha jo sochta tha main khud apne khol mein ghut kar na rah jata to kya karta yahan ek bhid thi jis bhid mein gum ho gaya tha main na lutna meri qismat hi mein tha likkha hua warna andheri raat thi aur bich raste mein khada tha main guzarne ko to mujh par bhi ajab ek hadisa guzra magar us waqt jab sadmon ka aadi ho chuka tha main main kahta tha suno sachchai to khud hai sila apna ye nukta iktisabi tha magar sach bolta tha main tujhe to dusron se bhi ulajhne mein takalluf tha mujhe to dekh apne-ap se uljha hua tha main khulus o iltifat o mehr jo hai ab usi se hai jise pahle na jaane kis nazar se dekhta tha main jo ab yun mere girda-gird hain kuchh roz pahle tak unhi logon ke haq mein kis qadar sabr-azma tha main bahut khush-khulq tha main bhi magar ye baat jab ki hai na auron hi se waqif tha na khud ko jaanta tha main