hua de kar dabe shoalon ko bhadkaya nahin jata dikha kar jam mai pyason ko tarsaya nahin jata na le ja dur gulshan se are sayyaad bulbul ko ki bimar-e-mohabbat par sitam dhaya nahin jata teri tar-damani ko dekh kar kuchh shak sa hota hai ki dhabba daman-e-masum par paya nahin jata hain donon nur ke tukde magar hifz-e-maraatib se sitaron ko shah-e-khawar se takraya nahin jata bahaaro hai buri ye baat hum se aashiq-e-gul ko dikha ke ru-e-gul kanton mein uljhaya nahin jata na kar nashtar-zani sayyaad sada-lauh bulbul par na jaane jo tadapna us ko tadpaya nahin jata 'zahir'-e-khasta ye bhi ek usul pas-e-ulfat hai zaban par kalma-e-shikwa kabhi laya nahin jata