hum apne aap ko phir aazma ke dekhenge jala ke dekh liya ab bujha ke dekhenge nae sire se karen apni zindagi aaghaz nai zamin pe naya ghar bana ke dekhenge karega sath hamare suluk wo kaisa kisi ko takht pe apne bitha ke dekhenge dikhai dega siyah-o-safed rahon mein hum apni aankh ki lau ko badha ke dekhenge guzarni hai bahar-haal zindagi apni kama ke dekh liya ab ganwa ke dekhenge zarur dad milegi ghazal ho kaisi bhi mushaere mein chalo hum bhi ga ke dekhenge