hua hun dil seti banda piya ki mehrbani ka fida karta hun har dam ji kun apne yar-e-jaani ka diye mein jun bati ho yun dahakti hai zaban mukh mein karun jis raat ke andar bayan soz-e-nihani ka unjho ankhiyan ke roghan hain hamare shola-e-dil kun bujhana ishq ki aatish nahin hai kaam pani ka asar karta hai nala 'abru' ka sang ke dil mein hunar sikha hai shayad kohkan sun tesha-rani ka