soz-e-dua se saz-e-asar kaun le gaya ek sang-e-dar se nisbat-e-sar kaun le gaya har shai hai na-tamam ye ehsas kyun hai aaj har aib se jawaz-e-hunar kaun le gaya kis ne meri nigah se parde utha diye ek ranj-e-agahi ki idhar kaun le gaya arsa hua ke panw ke niche zamin nahin wo naqsh-e-pa wo rahguzar kaun le gaya mere safine mere lahu mein naha gae mere sarab ke wo bhanwar kaun le gaya takhir-e-waqt-e-did teri barhami ka dar kitna hasin dar tha wo dar kaun le gaya hairan hai aql 'shaz' ki wahshat kidhar gai basti udas hai ki khandar kaun le gaya