hua piri mein ishq us naujawan ka ilahi mujh mein zor aaya kahan ka pada saya jo us sarw-e-rawan ka mila rutba zamin ko aasman ka irada jab hua mujh ko fughan ka dhuan ban kar uda rang aasman ka samajhte hain gada qand-e-mukarrar kalam us khusraw-e-shirin-dahan ka dil apna bach nahin sakta nazar se nishana hai wo tir-e-be-kaman ka bahut dhundhi kamar aakhir na pai pata milta kahin hai be-nishan ka padi majnun ke panw mein jo zanjir uthana hi pada bar-e-garan ka mita hun ai huma un ki talab mein tajassus chhod mere ustukhwan ka safar hai aakhirat ka pesh 'ajiz' tujhe saman lazim hai wahan ka